मंगलवार, 5 मई 2015

Rajniti aur Marketing

Saphal banna hai to rajniti aur marketing dono jarur aani chahiye !
Rajniti jahan tumhen kuchh kutnitigyta aur chatukarita sikhayegi vhin marketing lokpriy !

Rajniti ke gur men avval ho gaye to rona-dhona bhuul sashakt ban javoge !
Sashakt ban gaye to marketing men avvl darje ke PRODUCT KO pahcan dilana sikh javoge !

In dono ki anupasthiti men hindi film jagt ko parivarik aur samajik film-script-writer ban javoge !
Kuchh bhi nahi aata phir bhi pryas jari hai to chot-chot kha-kha kar art-directer ban bnoge !

In dono guno ko sikhna hai to office,school,college aur nahin to rishte-natedaron me saphal vykti se sikho ! Itane hairan aur pareshan hone ki koi jarurat nahin gali-guchche men khelte hue saphal bachchon se sikho !

Sikhna jaruri hai, thahrav par mat jaavo yahan har ek sakhsh ke andar vshal-samundar bahra pada hai !
Saphalta ki manjil mile n mile lekin insaniyt aur manviyta ke gun ka sahi pahchan jaruri hai !

Daldal ho ya samtal,kante ho ya phul in uljhno se bahr nikalne ka nam hi rajiniti  hai !
Jindagi ki parvah n karna , rat ko-din, din ko rat karne ka naam hi to marketing hai !

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें