रविवार, 3 मई 2015

DO Rahe Par Khade

Do rahe par khade aadmi ke pas aaj sabkuchh hai phir bhi shukun nahi hai !
Space par pahunch jate hain lekin ghar par maa-baap ke liye time nahin hai !

Dost to real men dekha jaye to ek bhi nahin lekin social-media par dosto ki kami nahin hai !
Khane ko to sabhi samj-sudhark hain lekin kamiyon ko ginane ka koi ek nishchit paimana nahi hai !

Chota beby bhi khelne jata hai to sankri galyon men bhi khelna duur khde hone ka jagh nahin hai !
Kya kare vo bhi summer-vacation aur koi game nahi pc par field khoj kriket khel raha hai 1

Duniya ki pareshaniyon se jujhta huaa aajka software inshan memory-feed to karta hai lekin apne use yad nahin !
Jyada samjhavo to googal par search kar kar ke tumhare formula ko expiry ghoshit kar deta hai !

Sab kuchh jante hue bhi ek bhay ya viprit-dhra-prvah se anjan ban main bhi do rahe ko chun leti hun !
Bhid men khoungi nahin lekin ekaki hone ke bhay ne kya kamjor bana dala hai hairan ho sochti hun ?

Parinaamsvrup shabd ke pas ja baithti hun apni man ki bhdans ko shbdankit karti hun !
Jisamen chhupe hue hain meri asmrthta ya bekaraari, kuchh n kar pane ki kashsh se bechin hun !

Tabhi do rahh se ek rah chunane ki takta milti hai jab vo aakar meri banh ko pakdta hai !
Phir shbdon ke jal ke tht hi mano vo kahta hai parivrtan hi jivn hai vo kal thaa yee aaj ka yug hai !






कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें