मंगलवार, 28 अप्रैल 2015

Mhatvakanchhi

Mhatvakanchhi bano achcha hai ,lekin ek bat yaad sada tum rakhna !
gulam iska n banana kyunki ban gaye gulam yadi tum iska phir dhyan rahega n apna !

Bhule se bhi sar baith gaya to yen-ken-prkaren tum usko pana chahoge !
ho sake to bana lo use tum gulam apna, phir dekho kaise karmth ban jaaoge !

Mhatvakanchha tumko aalasi banane n degi tab jivn sulabh ho jayega !
hansat-hansate kab mil gaye tum apani chahat ki manjil se dhyan nahin rah jayega !

Jivan kahta hai pukar ke hamsabse, chlate rahna v kabhi n thakna hee to jivan hai !
aao aage badho ek suniyojit lakchhya ke sath jo tumhari mahtvakanchha hai !!





कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें